Beshak Allah ki yaad se hi dilo ko sukun milta hai

Daily Hadeeth
Bismillahirrahmanirrahim
✦ Al Quran : Beshak Allah ki yaad se hi dilo ko sukun milta hai
Surah Ar-Rad (13) , Verse 28
✦ Al Quran : Aur Allah ko bahut yaad karne waley mardo aur bahut yaad karne wali aurton ke liye (Allah ne) bakhshis aur bada Ajar tayyar kar rakha hai hai
Surah Al Ahzab (33) : Verse 35
✦ Hadith : Hazrat Abu Darda Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya
Kya main tumko aisa amal na batauu jo tumhare malik ( ALLAH) ke nazdeek achcha aur pakeeza hai aur tumhare darjat mein sabse buland , aur jo (ALLAH ki raah mein) sone aur chandi ko kharch karne se bhi afzal hai , Aur jo ALLAH ki raah mein dushmano se jihad karte huye unki gardane maarne aur wo tumharai gardane maare us se bhi behtar hai, Sahaba Radhi allahu anhuma na arz kiya kyu nahi ( jarur bataeeye), AAP Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo ALLAH ka zikr hai , Muaz bin jabal Radhi allahu anhu ne farmaya Allah ke azab se bachane wali zikr ilahi se badkar aur koi cheez nahi hai
Jamia Tirmidhi , vol 2, 1301 - Hasan
------------------------------------
سبحان الله الحمد لله الله اكبر
Allahu Akbar... .Alhamdulillah.....SubhanAllah
سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ
SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem
لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
La illaha ilAllahu, waHdahu la shareeka lahu, lahul Mulku, wa lahul Hamdu, wa Huwa ala kulli shaiy'in Qadeer ....
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبَّاً وَبِالْإِسْلَامِ دِينَاً وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيَّاً
Radaitu billahi Rabba , wa bilislami deena , wa bi muhammadin (Sallallahu Alaihi Wasallam) Nabiyya
(Main Allah ko apna RAB hone aur Islam ko apna Deen hone aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ko apna Nabee hone par razi hu)
اللَّهُـمّ صَــــــلٌ علَےَ مُحمَّــــــــدْ و علَےَ آل مُحمَّــــــــدْ
Allahumma salli ala muhammad wa ala aali muhammed
----------------------------------------------
✦Al Quran : And the men and the women who remember Allah much with their hearts and tongues Allah has prepared for them forgiveness and a great reward
: Surah Al Ahzab (33) : Verse 35
✦ Al Quran : Verily, in the remembrance of Allah do hearts find rest .
Surah Ar-Rad (13) , Verse 28
✦ Hadith: Abu Ad-Darda Sal-Allahu Alaihi Wasallam narrated that :
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Should I not inform you of the best of your deed, and the purest of them with your Master (ALLAH), and the highest of them in your ranks, and what is better for you than spending gold and silver, and better for you than meeting your enemy and striking their necks, and they strike your necks? They said: Of course. He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, The remembrance of Allah [Most High]. [Then] Muadh bin Jabal Radhi allahu anhu said: There is nothing that brings more salvation from the punishment of Allah than the remembrance of Allah.
Jamia Tirmidhi , Book 45, Hadith 3377-Hasan
"