SIRF ALLAH SE HI MADAD MAANGO

Daily Hadeeth
Bismillahirrahm
anirrahim

✦ Al Quran : Aur tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo main tumhari Dua Qubul karunga.
Surah Ghafir (40), Verse 60
----------------
✦ Hadith Qudsi : Abu zar Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna ki

✦ Allah Subhanahu ne farmaya

✦ Eh Mere bando maine zulm ko apne upar haram kiya hai aur tum par bhi haram kiya to aapas mein ek dusrey par zulm mat karo,

✦ Eh mere bando tum sab gumraah ho magar jisko main hidayat ka raasta batlauu , to mujhse hidayat mango main tumko hidayat ka rasta batlaunga,

✦ Eh mere bando tum sab bhuke (hungry) ho magar jisko main khilauu to mujhse khana mango main tumko khilaunga,

✦ Eh mere bando tum sab nange ho magar jisko main pahnauu, to mujhse kapda mango main tumko pahnaunga,

✦ Eh Mere bando tum raat din gunaah karte ho aur main hi sab gunaahon ko bakhshta hun to mujhse bakhshish chaho main tumko bakhsh dunga,

✦ Eh mere bando agar tumhare agle aur pichle aur aadmee aur jinnat sab aisey ho jaaye jaisey tum mein ka bada parhezgar to meri saltanat mein kuch afzayeesh (Addition) na hogi aur tum mein agle aur peechle aur aadmee aur jinnat sab aise ho jaye jaise zameen ka bada badkar shaksh to meri Saltanat mein se kuch kam na hoga.

✦ Eh mere bando agar tumhare agle, pichle aur aadmee aur Jinnat sab ek maidan mein khade ho phir mujhse maangna shuru kare aur main har ek ko jitna maange de du tab bhi mere paas jo kuch hai wo kam na hoga magar itna jaise dariya mein suyee daal kar nikal lo.

✦ Eh mere bando ye tumhare hi aamal hain jinko tumhare liye shumar karta rahta hun phir tumko in aamal ka pura badla dunga to jo shaksh behtar badla paye use chahiye ki Allah subhanahu ka shukr kare ki uski kamayee bekar na gayee aur jo bura badla paye to apney hi aapko bura samjhe

✦ Said radi allahu anhu ne kaha ki Abu idris radi allahu anhu jab ye hadith bayan karte to apne ghutno ke bal gir padhte.
Sahih Muslim, Vol6, 6572

----------------
✦ Aisha radi Allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu se hi sab kuch maango , yaha tak ki tumhare joote Ka Tasma (lace) Bhi (Toot jaye to Allah se maango) kyunki Allah agar isko aasan nahi banayega to wo bhi tumhe nahi mil sakta
Al-Bayhaqi , Shu’ab al-Eemaan (2/42)
"