Namaz ki ahmiyat

Daily Hadeeth
Hadith: Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya sabse pahle bande ko Qayamat ke din namaz ka hisab dena padhega agar wo kamil hai to usko kamil likh diya jayega hai warna Allah subhanahu irshad farmayega ki dekho kya mere bande ke pass nawafil hain, agar nawafil namaz hongi to us se farz namaz ki kami mukammal ki jayegi aur baqi aamal ka hisab bhiisee tarh hoga

📚Reference:Sunan Nasaii, Vol 1, 469-Sahih


💠Hadith: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  se pucha kaunsa kaam ALLAH ko sabse ziyada pasand hai,Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya waqt par namaz Padhna ,pucha ki phir kaunsa ? farmaya Waldein ke saath achcha  suluk karna ,  pucha ki phir kaunsa , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki ALLAH ke raaste mein Jihad karna

📚Reference:Sahih Bukhari, Vol 7, 5970

Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam Dhul-Hijjah ke shuru ke 9 din roze rakha karte the

Daily Hadeeth
Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam Dhul-Hijjah ke shuru ke 9 din roze rakha karte the
-----------
Hunaydah ibn Khalid apni biwi se rivayat karte hain ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ki jawza (biwi) ne farmaya ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam Dhil-Hijjah ke shuru ke 9 din roze rakha karte they
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 665-Sahih
-----------
हुनैदाह इब्न खालिद अपनी बीवी से रिवायत करते हैं की रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम की जौज़ा (बीवी) ने फरमाया की रसूल्लअल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ज़ुल-हिज्जा के शुरू के 9 दिन रोज़ रखा करते थे
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 2, 665-सही
-----------
Hunaydah ibn Khalid narrated from his wife on the authority of one of the wives of the Prophet sallallahu alaihi wasallam who said: The Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam used to fast the first nine days of Dhul-Hijjah
Sunan Abu Dawud, Book 13, 2431-Sahih
"