ESAAL E SAWAB KE TAREEQEY

Daily Hadeeth
BISMILLAH
ESAAL E SAWAB KE TAREEQEY
1. Hazrat Abu Hurairha Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Marne k baad insaan k aamaal k sawab ka silsila munqatey (toot) ho jata hai lekin teen cheezo ka sawab mayyit ko milta rehta hai:
1. Sadqa e Jaariya
2. Loogo ko faida dene wala ilm
3. Naik aulaad jo mayyit k liye dua kare. (Sahih Muslim Kitabul Waseeyah Hadees no. 1631)

2. Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Saad bin Ubadah Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se apni maa ki nazar k baare mein sawal kiya jise poora karne se pehle wo faut ho gayi thi, Aapne farmaya "Apni maa ki taraf se tum nazar poori karo". (Sahih Bukhari Kitabul Wasaaya Hadees no. 2761, Sahih Muslim Kitabun Nazar Hadees no. 1638)
Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k qabeela juhaina ki ek aurat Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hui aur arz kiya k meri maa ne hajj ki nazar maani thi lekin hajj karne se pehle hi faut ho gayi kya mein uksi tarf se hajj karu, Aapne farmaya "Han! uski taraf se hajj karo, agar tumhari walidah par qarz hota to kyu tum ada karti?" usne arz ki han! Aapne farmaya "Allah ka qarz yaani nazar ada karo, Allah ta'ala ziyaadh haqdaar hai k uska qarz ada kiya jaye". (Sahih Bukhari Kitabul Jaza us said Hadees no. 1852)

3. Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Jo shaks faut ho jaye aur uske zimmey roozey baaqi ho to uska waris roozey rakkhey". (Sahih Bukhari Kitabus Saum Hadees no. 1956, Sahih Muslim Kitabus Siyaam Hadees no. 1147)

4. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek shaks ne Rasool allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya k mera baap faut ho gaya hai aur usne kuch maal chooda hai lekin koi waseeyat nahi ki agar mein uski taraf se khairaat karu to kya ye uske gunaho ka kaffarah banega? Aapne farmaya "Han". (Sahih Muslim Kitabul Wasiyah Hadees no. 1630)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k ek shaks (Saad bin Ubadah) ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya k meri maa achanak mar gayi aur mera gumaan hai k agar wo baat karti to kuch sadqa khairaat karti, ab agar mein uski taraf se khairaat karu to kya usko kuch sawab milega? Aaapne farmaya "Han". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1388, Sahih Muslim Kitabuz Zakaat Hadees no. 1004)

5. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmya ak "Momin ki rooh qarz k saath mu'allaq rehti hai jab tak wo ada na kar diya jaye". (Tirmizi Kitabul Jana'iz Hadees no. 1078)

Baaz loog mayyit ko sawab pahunchane k liye teesre din, daswey din ya chaleesvey din khane ka ehtamaam karte hai, baaz har jumeraat ya har saal barsi mana kar khana taqseem karte hai, baaz quran-khuwani karwaate hai, yani quran padh kar sawab murdo mein taqseem karte hai baaz chadar bicha kar guthliyo par sawa laakh martaba "LA ILAHA ILLALLAH" ya Darood Shareef padhte hai, aur uska sawab mayyit ko pahunchte hai in baato ka Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Sahaba Razi Allahu Anhum se koi saboot nahi lihaza ye bidaat hai, inse bachna wajib hai aur esaal e sawab k wahi tareeqey ikhtiyaar karne chahiye jinka saboot Ahadees E Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam mein mojood hai.

Ibne Umar Razi Allahu Anhu k saamne ek aadmi ko cheenk aayi to usne "ALHAMDU LILLAHI WAS SALAATU WAS SALAAMU ALA RASOOLILLAH" kaha ye sun kar Ibne Umar Razi Allahu Anhu farmane lage "Mein bhi "ALHAMDU LILLAHI WAS SALAATU WAS SALAAMU ALA RASOOLILLAH" keh sakta hu magar Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is mouqey par hamey ye taleem nahi di balke ye farmaya k cheenk aaney par "ALHAMDU LILLAHI ALA KULLI HAAL" padha jaye. (Tirmizi Kitabul Adab Hadees no. 2738, Imam Hakim 4:265, 266 aur Imam Zahbi ne ise sahih kaha)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "MAN AHDASA FI AMRINA HAZA MA LAISA MINHU FA HUWA RADD" Jisne hamare is deen mein koi aesi baat shamil ki jo is mein se nahi hai to wo mardood hai. (Sahih Bukhari Kitabus Sulah Hadees no. 2697, Sahih Muslim Kitabul Aqzeeyah Hadees no. 1718)

Maloom hua k deen mein apni taraf se kisi qism ki ziyadati nahi karni chahiye.
"