Quran Surah Baqara ayat 39

Daily Hadeeth
Quran 2 39

Aur jo kufr karenge aur Hamaari aayaat ko jhoot jaanenge, so wo hi dozakhi honge aur us mein hamesha pade rahenge.



Bewaon (widow) aur Miskinon ki khidmat karne wala ALLAH Subhanahu ke raaste mein jihad karne wale ki tarah hai.

Daily Hadeeth
Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: Bewaon (widow) aur Miskinon ki khidmat karne wala ALLAH Subhanahu ke raaste mein jihad karne wale ki tarah hai.
-------------------------------------------
Safwan bin Salim Radhiallahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya bewaon (widow) aur Miskinon ki khidmat karne wala ALLAH Subhanahu ke raaste mein jihad karne wale ki tarah hai ya us shaqs ki tarah hai jo din mein Roze rakhta hai aur Raat ko Iba’dat karta hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6006
-------------------------------------------
Narrated Safwan bin Salim Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said "The one who looks after and works for a widow and for a poor person, is like a warrior fighting for ALLAH's Cause or like a person who fasts during the day and prays all the night." Narrated Abu Huraira that the Prophet said as above.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 35

Like us on FACEBOOK

Main aur Yateem ki parwarish karne wala Jannat mein is tarah honge……

Daily Hadeeth
Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: Main aur Yateem ki parwarish karne wala Jannat mein is tarah honge……

Sahl bin Sa'd Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Main aur Yateem ki parwarish karne wala Jannat mein is tarah honge aur Aapne shahdat aur darmiyani ungliyon ke ishaare se (dono ka kareeb hona) bataya
Sahih Bukhari, Vol 7, 6005

Narrated Sahl bin Sa'd Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "I and the person who looks after an orphan and provides for him, will be in Paradise like this," putting his index and middle fingers together. (same like both finger)
Sahih Bukhari, Book 73, No. 34


Safo ko seedha rakhna bhi namaz ki takmil ka hissa hai

Daily Hadeeth
Bismilahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Safo ko seedha rakhna bhi namaz ki takmil ka hissa hai
-------------
✦ Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya
Safo mein milkar khade raha karo aur ek saf dusri saf ke nazdeek rakho aur gardano ko bhi barabar rakho qasam us zaat ki jiske qabze mein meri jaan hai main shaitan ko safo ki khali jagah mein yu ghuste huye dekhta hu jaise ki bakri ka bachcha ho, Apni safo ko seedha karo kyunki safo ko seedha rakhna bhi namaz ki takmil ka hissa hai
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 663,664-Sahih
-------------

✦ Narrated Anas ibn Malik Radi Allahu Anhu The Prophet (ﷺ) said: Stand close together in your rows (of prayer) , bring them near one another, and stand neck to neck, for by Him in Whose hand my soul is, I see the devil coming in through openings (empty place) in the row just like a small goat (or sheep),
Straighten your rows for the straightening of the rows is part of perfecting the prayer.
Sunan Abu Dawud, Book 2, Hadith 667,668-Sahih

"