Soor

Daily Hadeeth

Soor


1. Soor kya hai
1, hadith: Nabi (saw) se daryaafth kiya ke gaya ke soor kya hai? Aap(saw) ne jawaab diya ke ek sing hai jis mein pukha jayega
(soor ki asali shakal Allah (swt) ke siva koyi nahi jaanta)


2. Soor kis ke haath mein hai
Imam ibn kaseer aur haafez ibn hajr (ra) ne yahi baath kahi hai ke soor ek seeng hai jis mein Hz.Israfeel (as) phukenge


3. Pehli martaba soor mein phunka jaana
1, Sureh qaaf ayath 20: jis din soor mein phuka jayega wahi azaab ka din hoga.
2, Sureh zumar ayath 67: jab soor mein phuka jayega to jo asmaano mein hai aur jo zameen mein hai sab halaak ho jayenge magar wo jis ko Allah chaahe
3, Hadith: Nabi (saw) ne farmaya soor mein phuka jayega to jo koyi bhi us ki awaaz sunega to apni garden utha ke us ki taraf mutawajjeh ho jayega, soor ki awaaz sab se pehle wo shaqs sunega jo apne onto ke hauz ki marammath kar raha hoga, woo se sunte hee mar jayega aur osi tarah baakhi log bhi mar jayenge (muslim 2940)


4. Soor ki awaaz sun kar kaun nahi marenge
Sureh zumar ayath 64 mein sivaaye unke jise Allah chaahe ke baare mein Nabi (saw) ke daryaaft karne par Jibraeel (as) ne bataya ke un se muraad Allah ta’ala ke Shaheed bandhe hai (sahih al targheeb 1387)


5. Pehli soor juma ko di jayegi

Hadith: Nabi (saw) ne farmaya juma ke din qayaamath qaayam hogi (muslim 854)


6. Dosri martaba soor mein phunka jaana

Dosri martaba jab soor mein phunka jayega to saare log utha khade honge aur arz mehshar mein hisaab kitaab ke liye jama ho jayenge
1, Sureh zumar ayath 67: phir dosri martaba us (soor) mein phunka jayega to yeka yek wo khade dekhte honge
2, sureh yaseen ayath 51-53: aur jab soor mein phunka jayega to yeka yek wo apni qabro se nikal kar apne rab ki taraf tezi daudenge, wo kahenge haay hamaari barbaadi, kis ne hamein hamaari qwaab gaah se utha diya? Yahi to hai jo Rahmaan ne waada kiya tha aur rasulo ne sach kaha tha, wo to bas ek (haulaak) cheeq hogi, phir yeka yek wo sab hamaare saamne haazir kar diye jayenge


7. Do soor phunke jaane ka darmiyaani hissa
Hadith: Nabi (saw) ne faramaya 2 nafqo ke darmiyaan 40 ka faasla hoga. Logo ne arz kiya ayr Abu Huraira (ra) 40 din? Unhone ne kaha ke main inkaar karta hoon,  unhone kaha ke 40 mahine? Hz. Abu Huraira (ra) ne kaha ke main inkaar karta hoon, Nabi (saw) ne farmaya aur reed ki haddi ke siva insaan ki har cheez busida ho jaati hai, aur osi se ose dobara paida kiya jayega.
(40 kis ki tedaad hai ye Abu Huraira (ra) ko shaayad yaad nahi tha, isi liye wo koi bhi baath kehne se inkaar kar rahe thein)
"