Qiyaamath ki Haulnakiya

Daily Hadeeth

Qiyaamath ki Haulnakiya

1. Pehle soor phunke jaane ke baadh
pehla soor phunke jaane ke baadh har taraf tabaahi wa barbaadi phail jayegi,  us din ki ghabraahat kayenaath ki sab se badi ghabraahat hogi, jis din asmaan phat jayega, sitaare bhikar jayenge, pahaad reza reza ho jayenge, aur zameen mein shaded qism ka bhuchaal aa jayega…
1, sureh mudassir ayath 9-10: to wo din bada saqt din hoga, jo kaafiro par asaan na hoga
2, sureh haqqa ayath 13-18: pas jab soor mien ek phukn phunki jayegi, aur zameen aur pahaad utha liye jayenge aur ek hee chot mein reza reza kar diye jayenge, us din asmaan phat jayega aur us din bilkul bodha ho jayega, us ke kinaro par farishte honge aur tere parvardigaar ka arsh 8 farishte apne upar uthaaye hoye honge, us din tum sab saamne pesh kiye jaoge aur tumhaara koyi bhed poshida na rahega
3, sureh haj ayath 1-2: logo apne parvardigaar se daro, bila shak qayaamat ka zal zala bahuth hee badi cheez hai, jis din tum ose dekh loge har doodh pilaane waali apne doodh pite bacche ko bhol jayegi aur tamaam hamal waliyo ke hamal gir jayenge, aur tu dekhega ke log madhoosh dikhayi denge halaan ke dar haqiqath wo mathwaale na honge balke Allah ka azaab bada hee saqth hoga
4, sureh ibraheem ayath 42,43: na-insaafo ke amaal se Allah ko ghaafil na samjho, wo to unhe us din tak muhullath diye hoye hai jis din aankhe phati ki phati reh jayengi, wo apne sar upar  uthaaye daud bhaag rahe honge, khud apni taraf bhi un ki nigaahe na lautengi aur un ke dil khaali aur ude hoye (khaali) honge
5, sureh ambiya aytah 103: jis din hum asmaano ko yo lappet denge tumaar mein auraaq lappet diye jaate hai (yaani jis tarah kaatib likhne ke baadh auraaq ya register lappet kar rakh deta hai) jaise ke hum ne pehli dafa paidayish ki thi osi tarah dubara karenge, ye hamaare zimme wada hai aur hum ose zaroor kar ke (hee) rahenge
6, sureh muzammil ayath 17-18: tum agar kaafir hai to us din kaise panah paoge jo din baccho ko budha Kar dega, jis din asmaan phat jayega, Allah ta’ala ka ye waaa ho kar hee rehne waala hai
7, hadith: bukhari 3348: Nabi (saw) ne farmaya (qayamath ke din) Allah ta’ala frmayenge aye Adam(as)! Adam (as) jawaab mein kahenge Aye Allah main teri ita’ath aur khidmath mein haazir hoon, aur saari bhalayi tere hee haath mein hai, tab Allah ta’ala farmayenge maqlooq mein se jahannami gruh alad kar lo, Adam (as) arz karenge ke jahannami gruh ki tedaad kya hai? Allah ta’ala farmayenge 1000 mein se 999. Nabi(saw) ne farmaya yahi wo waqt hoga jab baccha budha ho jayega, hamal waliyo ke hamal gir jayenge aur tu logo ko madhooshi ki haalath mein dekhega, halaan ke wo madhoosh nahi honge balke Allah ta’ala ka azaab hee itna saqt hoga (jis ki wajes se log hosh kho baithenge). Jab ye suna to Sahaba (ra) bahuth pareshaan hogaye aur arz kiya ke Allah ke Rasool (saw) hum mein se kaun aisa hoga jo kamyaab hoga? Aap(saw) ne farmaya tum khush ho jaao kyo ke 999 yajooj majooj mein se honge aur 1 tum mein se aur is tarah 1000 ki ginti puri ki jayegi
Hadith: Nabi(saw) ne farmaya jise ye pasand ho ke wo roze qayamath ko is tarah dekhe goya apni aankho se dekh raha ho to wo ye 3 surate pad le (81-al-takweer, 82-Al-infetaar, 84-Al-inshiqaaq)
"