1. Hashr Nashr aur Mahshar

Daily Hadeeth
1. Hashr Nashr aur Mahshar
Pehla soor phunke jaane ke baadh qayamath ki haulnaakiya shuro hongi aur phir dosra soor phunke jaane ke baadh tamaam halaak hoye logo ko zinda kar ke ek jagah jama kar diya jayega, isi ko hashr nashr kaha jaata hai.Hashr ke maani ekhatta karne ke hai aur Nashr ke maani dubara zinda karne ke hai, aur Mahshar ke maani ekhatta karne ki jagah ko kehte hai

2. Logo ka dubara zinda hona
Sureh zumar ayath 68: phir dosri martaba us soor mein phuka jayega to yeka yek wo khade dekhte honge
Hadith: muslim 2940: pehli martaba soor phunke jaane ke baadh jab saari dunya ke log halaak ho jayenge to Allah ta’ala shabnam ke khatro ke maanind bearish barsaenge, us se logo ke jism tayyaar honge, phir soor mein dosri martaba phunka jaega to log fauran khade ho kar dekhne lagenge
(ambiya ke jism ko mitthi nahi khaati, Hadith: Nabi (saw) ne farmaya ke bilashuba Allah ta’ala ne ambiya ke jismo ko khana zameen par haraam kar rakha hai)

3. Dosri zindagi maujuda zindagi se alag hai
Dosri zindagi mein kisi ko bhi mauth nahi hai
Sureh Ibraheem ayath 17: aur us (Jahannami) ko har jagah se mauth ayegi lekin wo marega nai
4. Sab se pehle Nabi(saw) qabr se uthaye jayenge aur us ke baadh sab log

Hadith musilm 2278: Nabi (saw) ne farmaya main qayamath ke din aulad aadam ka sardaar aur pehla wo shaqs honga jis se qabr phategi

5. Qabro se uthte waqt logo ke halaath
Tamaam log intehayi ghabraahat ki haalath mein bahuth tezi se qabro se uthenge, jo koi jaise fauth ho ga ose waise hee uthaya jayega, agar koi samandar mein gharq hoa to ose samandar hee se uthaya jayega, agar koi mitthi mein dab kar mara to ose mitthi hee se uthaya jayega, agar kisi ko janwaro ya parindo ne kha liya ho to ose parindo ke peto se hee ekhatta kiya jayega, aur shuhada ko un ke zaqmo ke saath uthaya jayega, nek log acchi haalath mein aur bure log intehayi saqth haalath mein uthaye jayenge, sab baghayr libaas, nange paao aur be-khatna uthaye jayenge.
1, hadith muslim 2878: Nabi (saw) ne farmaya har bandha osi aqeede par uthaya jayega jis par wo mara tha
2, hadith sahih nasayi 1796: jo shaqs ehraam ki haalath mein marega ose qayamath ke din ehraam ki haalath hee mein uthaya jayega
3, hadith sahih tirmizi 1016: Nabi (saw) jab uhad ke maidaan mein Hz. Hamzah (ra) ki laash par tashreef laaye aur dekha ke un ka musla kiya gaya hai to Aap(saw) ne farmaya agar Safiya (ra) (Nabi(saw) ki phupi) apne dil mein kuch na-gawari mehsoos na karti to mein Hamzah(ra) ko isi haalath mein rehne deta ta ke ose jaanwar kha lete aur phir qayamath ke din unhe jaanwaro ke peto  se hee uthaya jata
4, hadith muslim 2859: Hz.Aisha (ra) ka bayaan hai ke Nabi (saw) ne farmaya qayamath ke din logo ko nange paao, nange badan, aur be-khatna haalath mein uthaya jayega, mein ne arz kiya ke aye Allah ke Rasool (saw) tab mard aur aurte ek dosre ko nahi dekhengi? Aap(saw) ne farmaya aye Aisha (ra) us din ki saqti us se kahi zyaada hogi ke wo ek dosre ko dekhe

6. Hisaab ke liye jama hone ki Jagah
Jis zameen par hisaab ke liye jama kiya jayega wo hamari zameen se alag hogi kyo ke ye zameen aur kayenaath ki har cheez to tabah ho jayegi, phir Allah ta’ala naye asmaan wa zameen paida farmayenge
Sureh Ibraheem ayath 48: jis din zameen is zameen ke siva aur hee badal di jayegi aur asamaan bhi, aur sab ke sab Allah waahed ghalbe waale ke rubaru honge
Hadith bukhari 6521: qayamath ke din logo ko ek he zameen par ekhatta kiya jayega jo safedh surkhi maayel saaf gol roti ki tarah hogi aur us mein kisi ke liye koyi nishaan na hoga(yaani bilkul hamwaar hogi)

7. Tamaam logo ko arz mehshar mein jama kiya jayega

Sureh waqia ayth 49-50: Aap(saw) keh dijiye ke yaqinan sab agle pichle zaroor jama kiye jayenge aur ek muqarrar din ke waqt

8. Mehshar mein logo ke ekhatta hone ki kayfiyath

1, hadith bukhari 6522: Nabi (saw) ne farmaya logo ka hshr 3 firqo mein hoga
Ek raghbath karne waale, darne waale honge
Dosra: ek ont par 2 admi sawaar honge, kisi ont par 3 sawaar honge aur kisi ont par 4 sawaar honge aur kisi par 10 honge aur bakhi logo ko aag jama karegi
Tisra: kufr wa shirk waalo ka hoga, jab wo khailollah karenge to aag bhi un ke saath tehregi, jab wo raath guzarenge to aag bhi un ke saath tehregi, jab wo subah karenge to aag bhi subah ke waqt waha maujood hogi aur jab wo shaam karenge to aag bhi shaam ke waqt un ke saath maujood hogi

9. Mehshar ke din logo ko libaas pehnaya jayega
Mehshar ke din logo ko nange badan uthaya jayega lekin baadh mein un ko libaas pehnaya jayega
Hadith bukhari 3625: qayamath ke din tamaam makhluqaath mein se sab se pehle Ibraheem (as) ko libaas pehnaya jayega

10. Maidaan hashr ki takleef
Hadith musnad ahmad 178/3: Hz. Anas (ra) se rivayath hai ke Nabi (saw) ne mujh se farmaya ke main pul siraath par khada apni ummath ka muntazir rahonga ke wo pul paar kare , achaanak Isa (as) ayenge aur kahenge aye Muhammad(saw) ye ambiya aap ke paas aaye hai aur ye keh rahe hai ke aap Allah ta’ala se dua farmaiye ke Allah makhlooq ka faisla farma kar unhe jis taraf chaahe bhej de, ta ke wojis takllef mein mubtela hai us se najaath pa sake, makhlooq ko pasine ki lagaam padi hogi (yani wopasine mein dobe honge), maisaan hashr mein momin ko zukaam jaisi takllef mehsoos hogi jab ke kaafir mauth ki ghashi jaisi takleef mein mubtela honge
"