Yateem ki parvarish karne wale ki fazilath

Daily Hadeeth
Yateem ki parvarish karne wale ki fazilath
Hz. Abu huraira (ra) Nabi (saw) se rivayath karte hai ke bewa aur masakeen ki khidmath karne wala Allah ki raah mein jihad karne walo ke barabar hai y us ke barabar hai tamaam din roze rakhe aur saari raath salaah padha kare

Apne yateem ka baar uthaane ki fazilath
Hadith: Hz. Aisha (ra) se rivayath hai ke ek aurath mere paas aayi, us ke saath 2 ladkiya thi, mujh se us ne sawaal kiya, mere paas se us waqt ek khajoor ke siva kuch na mil saka, main ose khajor de di, us ne unhe 2 takde kar ke apni bacchiyo ko diya, us ke baadh uthi aur chali gayi phir jab Nabi(saw) tashreef laaye to main ne un se ye qissa bayaan kiya, farmaya jo zara bhi in bacchiyo ke baare mein azmaayesh mein dala jayega aur un ke saath ehsaan karega, ye bacchiya us ke liye baqubla jahannam ek hijaab ban jayegi
Yateem ke aqrajaat bardaasht karne ki fazilath
Hadith: Nabi (saw) ne farmaya main aur yateem ki kafaalath karne wala jannath mein is tarah yo honge (bachli ongli aur shahadath ki ongli se ishara farmaya)
Jis ka baccha mar gaya ho
Hadith: Hz.Abu Huraira(ra) se rivayath hai ke Nabi(saw) ne farmaya jis musalmaan ke 3 bacche mar jaaye to jahannam ki aag ose nahi chu sakti bajuz qasam khaane wale ki qasam ke barabar
Hadith: ek aurath Nabi(saw) ki khidmath mein ek bacche ko le kar haazir hoyi aur arz kiya ke is ke liye dua farmaiye, main 3 baccho ko dafan kar chuki hoon, Aap(saw) ne farmaya jahannam ke saamne tu ne mazbooth diwaar bana di hai
Hadith: Khaled al absi kehte hai ke mera ek ladka mar gaya, mujhe us ka bada sadma hoa, to main ne Hz.Abu Huraira(ra) se kaha kya aap ne Nabi(saw) se koyi aisi baath nahi suni hai jis ke zariye hum apne dilo ko murdo ka gham se tasalli de sake, kaha main ne suna hai Nabi (saw) ne farmaya tumhaare chote bacche jannath ki tithliya hai
Hadith: Hz. Umme Sulaim (ra) bayaan karti hai ke main Nabi(saw) ke paas haazir thi ke Aap(saw) ne farmaya aye umme sulaim, jis musalmaan ke 3 bacche mar jaaye wo apne waledayn ko jannath mein le jayenge, un par Allah ki rahmath wa fazl ki wajeh se, main ne arz kiya ya Rasool Allah(saw) aur 2 bacche, farmaya aur 2 bacche bhi
Hadith: sa’asa bin maviya ne bayaan kiya ke un se abuzar se mulawath hoyi, woe k mashqiza hamayel kiye hoye thein, sa’asa ne kaha abuzar aap ko bacche se kya kaam? Kaha tum se hadith na bayaan kardo? Kaha zarur bayaan ki jiye, kaha ke main ne Nabi(saw) ko ye kehte hoye suna hai ke jis musalmaan ke 3 aise ladke mar gaye jo abhi baaligh nahi hoye thein, in baccho par apni rehmath wa fazl ki wajeh se Allah ta’ala us ko bhi jannath mein jageh dega aur jis shaqs ne kisi musalmaan ko azaad kiya Allah ta’ala us ke har azu ke badhle us ke har azu ko jahannam se najaad dega
"