Namaz ki ahmiyat

Daily Hadeeth
Hadith: Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya sabse pahle bande ko Qayamat ke din namaz ka hisab dena padhega agar wo kamil hai to usko kamil likh diya jayega hai warna Allah subhanahu irshad farmayega ki dekho kya mere bande ke pass nawafil hain, agar nawafil namaz hongi to us se farz namaz ki kami mukammal ki jayegi aur baqi aamal ka hisab bhiisee tarh hoga

📚Reference:Sunan Nasaii, Vol 1, 469-Sahih


💠Hadith: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  se pucha kaunsa kaam ALLAH ko sabse ziyada pasand hai,Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya waqt par namaz Padhna ,pucha ki phir kaunsa ? farmaya Waldein ke saath achcha  suluk karna ,  pucha ki phir kaunsa , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki ALLAH ke raaste mein Jihad karna

📚Reference:Sahih Bukhari, Vol 7, 5970
"