Qurbani ke masail

Daily Hadeeth
BISMILLAH

QURBANI KA HUQM:

Jamhoor ke nazdeek qurbani sunnat e moakkida hai, lekin allama shakaani Rahimahullah ne apni kitab " as salilul zarrar" me dalail likhne ke baad likha hai ki QURBANI wajib saabit hoti hai lekin yah wajoob takat rakhne waalon ke liye hai, jiske paas maali taakat nahi hai us par qurbani wajib nahi hai

(mir-aatul mafa-teeh)


QURBANI KE SHARAIT:


1-khaalis allah ki raza ke liye (surah bayyin, maidah)

2-paakeeza maal se ho haraam maal se na ho (sahih muslim)

3- sunnat ke mutabik ho, agar koi eid ki namaz se pahle zabaah kare to uski qurbani nahi hogi kyonki usne sunnat ki mukhalifat ki hai (sahih bukhari)

4- qurbani ka jaanwar un khaamiyon aur kamiyon se paak ho jinki buniyaad par shariat ne qurbani se roka hai

5- qurbani bahimatul an'aam ki hogi (surah hajj), iske tahat sirf 4 jaanwar nar aur maada aate hain

a)- oont(camel)
b)-dumba
c)-bakri
d) do daanta hona zaroori hai, agar aisa jaanwar milna mushkil ho ya koi dusri majboori ho to bhed ka khera ek saal ka qurbani Karna sahih hai

(muslim)


KIN JAANWARON KI QURBANI JAAYEZ NAHI:


1-waajeh taur paq kaana

2- aisa bimar jiski bimaari zaahir ho

3- aisa langada jiska langadapan zaahir ho

4-aisa kamzor jaanwar jisme charbi na ho

5- kaan me suraakh ho

(abu dawood)


MASAIL:


1- Khassi jaanwar ki qurbani jayez hai( sahih ibne majah)

2- haamila jaanwar ki qurbani jayez hai (abu dawood)

3- hamila jaanwar ka zabaah karna hi pet ke bacche ke liye kaafi hai dil chaahe to use bhi khaaya ja sakta hai,zabaah karne ki zarurat nahi (abu dawood)

4- qurbani ke jaanwar ko khila pila ke mota taaza karna chahiye( bukhari)

5- afzal qurbani oont ki, phir bakri, phir oont me hissa lena (fatawa saudi committee, fatawa islami)

6- eid ke pahle din qurbani karna afzal hai kyonki yah din sab dino se afzal hai( abu dawood)

7- qurbani ke 3 din hain, dhul hijjah ko sooraj doob jaane tak qurbani ki jaa sakti h (al jamia us sagheer)


8- qurbani ke 3 dino ki raaton me bhi qurbani ki ja sakti hai

9- qurbani karne ka waqt eid ul adha ki namaz padhne ke baad shuru hota hai(bukhari)

10- qurbani ke jaanwar par sawaar ho jayez hai (bukhari)

11- jis jaanwar ko qurbani ki niyyat se khareed liya jaaye use bechna haraam hai (as salailul zaraar allama shaukani)

12- jaanwar qurbani karne ke bajaaye uski keemat ka sadqa karna durust nahi (mir-aa tul mafa teeh)

13- agar koi shakh eid ki namaz padhne se pahle hi jaanwar jab
ah kar de to uski qurbani nahi hogi balki usi eid ki namaz ke baad ek dusra jaanwar jabaah karna padega (bukhari)
14- churi( knife) khoob tez honi chahiye(muslim)

15- qurbani waale jaanwar ke pahlu par jabaah ke waqt pair rakhna masnoon hai (bukhari)

16- bismillah wallahu akbar padhkar jaanwar jabaah kiya jaayega (bukhari)

17- eidgaah me qurbani karna sunnat hai (bukhari)

ghar me yah kisi dusri jagah agar qurbani kar
Li jaaye to durust hai kyonki eidgaah me qurbani karna nabi(sws) ne laajim karaar nahi diya hai aur na sab log aisa kar hi sakte hain

18- jaanwar ko qibla ki taraf karke zibaah karna mustahab hai (maukoof ibne umar)

oont ke elawa baaki jaanwar jibaah kiya jaaye aur oont ko naahar, yaana agla ghutna baandh diya jaayega aur baaqi 3 taango par khada rahega aur ko tez dhaar daar aala uske halaq me utaar diya jaayega (surah hajj, bukhari)

19- daant wa nakhun ko chhodkar har khoon baha dene waali cheez se jaanwar zabaah kiya ja sakta hai( bukhari)

20- qurbani karne waale ko apne haath se jaanwar zabaah karna afzal hai (bukhari)

21- lekin dusre se bhi zibaah karwaaya ja sakta hai ( bukhari, abu dawood)

22- aurat bhi jaanwar zibaah kar sakti hai (bukhari)

23- allah ke elawa dusre ke naam par zabaah karne waala lanati hai (muslim)

24- poore ghar walon ki taraf se 1 janwar ki kifayat kar jaayega (tirmizi)

Qurbani karte waqt takbeer ke saath saath " allahumma taqabbal mini aw min fulaan"

aiy allah meri taraf se ya falan ki taraf se qubool farma kahna durust hai (muslim)

25- kasaai ko khaal ya ghost mazdoori ke taur par dena mana hai (muslim)

26- qurbani ka ghost ghareebon aur miskeeno ko sadqa kiya ja sakta hai aur khud bhi khaaya ja sakta hai (surah hajj)

27- ghost ko barabar 3 hisson me baatna zaroori nahi hai kyonki shariat ne iski pabandi nahi lagaayi balki iske ulat nabi(sws) ne jee bhar khaane ki ijazat di hai (tirmizi)

28- lekin yah zehan me rahe ki is hadith me jahan khaane ka bayan hai wahan khilaane ka bhi zikr hai, isliye itna na khaaya jaaye ki hadith ke agle huqm khilaao par amal na ho sake

29- agar koi ghost ka kuch hissa jama karna chaahe to sharai eitbaar se iski ijaazat hai (bukhari)

30- gair muslim agar mustahik hai to use bhi ghost diya ja sakta hai (al mugni ibne kudaama)

31- qurbani ki khaal ka masraf wahi hai jo ghost ka hai(bukhari)

32- karzdaar shakhs qurbani kar sakta hai kyonki aisi koi daleel nahi jo use qurbani karne se rokti ho

33- eid ke liye khareede hue oont me bhi shirkat ho sakti hai, oont me 10 log shareek ho sakte hain (tirmizi)

34- hajj ke liye jo oont khareedi gayi hai usme zyada se zyada 7,7 afraad sharik ho sakte hain(muslim)

35- qurbani karne waale afraad dhul hijjah ka chand nazar aane se lekar qurbani karne tak baal aur naakhun nahi kaat sakte

(muslim)
"