Safo ko seedha rakhna bhi namaz ki takmil ka hissa hai

Daily Hadeeth
Bismilahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Safo ko seedha rakhna bhi namaz ki takmil ka hissa hai
-------------
✦ Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya
Safo mein milkar khade raha karo aur ek saf dusri saf ke nazdeek rakho aur gardano ko bhi barabar rakho qasam us zaat ki jiske qabze mein meri jaan hai main shaitan ko safo ki khali jagah mein yu ghuste huye dekhta hu jaise ki bakri ka bachcha ho, Apni safo ko seedha karo kyunki safo ko seedha rakhna bhi namaz ki takmil ka hissa hai
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 663,664-Sahih
-------------

✦ Narrated Anas ibn Malik Radi Allahu Anhu The Prophet (ﷺ) said: Stand close together in your rows (of prayer) , bring them near one another, and stand neck to neck, for by Him in Whose hand my soul is, I see the devil coming in through openings (empty place) in the row just like a small goat (or sheep),
Straighten your rows for the straightening of the rows is part of perfecting the prayer.
Sunan Abu Dawud, Book 2, Hadith 667,668-Sahih

"