Bismillahirrahmanirrahim
★ Al Quran : Kah do Allah ke siwa
jinka tumhe ghamand hai unhe pukaro, wo na to aasman hi mein zarra bhar
ikhtiyar rakhtey hain aur na zameen mein aur na unka unmein kuch hissa
hai aur na unme se koi Allah ka madadgar hai
Surah Saba (34) Verse 22
★ Hadith: Anas bin malik radi allahu taala anhu se rivayat hai ki
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah taala Qayamat
ke din Dozakh ke sabse kam Azab pane wale se puchega agar tumhe zameen
ki sari cheezein mayassar ho to kya tum usko fidye mein(azab se nijat
pane ko) de do ge wo kahega ki haan, ALLAH subhanahu farmayega ki maine
tumse is se bhi aasan cheez ka us waqt mutalba kiya tha jab tum Aadam ki
peeth mein they ki mere saath kisi ko Sharik na karna lekin tumne inkar
kiya aur na mana aur shirk hi kiya
Sahih bukhari, Vol8, 6557
★ Al Quran: Beshak Allah usko nahi bakhshta jo uska sharik kare aur
shirk ke siwa dusre gunah jise chahe bakhsh deta hai aur Jisne ALLAH ka
sharik thahraya usne bada hi gunah kiya
Surah An-Nisa (4) Verse 48