Bismillahirrahmanirrahim
*Juma ki fazilat aur Aadab Hadith ki roshni mein*
-------------------
✦ 1. Al Quran : Eh Imaan walon jab jumaa ke din namaz ke liye azan di
jaye to Allah ke zikr ki taraf jaldi se aa jao aur kharid wa farokht
chhodh do , tumhare liye yahi baat behtar hai agar tum ilm rakhte ho
Al Quran : Surah Al Jumaa (62) , verse : 9
✦ 2. Al Quran : Beshak Allah subhanahu aur uske farishtey Nabee
Sallallahu Alaihi Wasallam par durud bhejte hain, Eh imaan walo tum bhi
un par durud aur salam bheja karo.
Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56
✦ 3. Hazrat Aws bin Aws radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah
SallallahuAlalhi Wasallam Ne farmaya tumharey tamam dino mein Jumaa ka
din sabse afzal hai ki is din Hazarat Aadam Alalhi salam ko paida kiya
gaya aur usi din unki rooh qabz ki gayee aur isi din soor phunka jayega
aur isi din sab behosh hongey isliye is roz (juma ko) mujh par ziyada se
ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud Parhna mujh par pesh kiya
jata hai, logon ne kaha ya Rasool-Allah SallallahuAlalhi Wasallam Hamara
Durud Parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye
hongey,to Aap SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya Allah taala ne
Anbiya karam ke Jism ko Mititi par haram kar diya hai.
Sunan Abu Dawud, Vol 1,1035-Sahih
✦ 4. Hazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par Ek
martaba Durud bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat
bhejega aur uskey 10 gunaah maaf hongey aur 10 darjaat buland
hongey
Sunan An Nasaii, Vol1, No. 1300 -Sahih
✦ 5. Abu Huraira Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah
Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Jumaa ka din aata hai to
farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain sabse
pahley aane wala oont(camel) ki qurbani dene waley ki tarah
likha
jata hai, uskey baad aaney wala gaay (cow) ki Qurbani deney wale ki
tarah phir maindey (sheep) ki Qurbani ka sawab milta hai , uskey baad
murgi(chicken) ka, uskey baad ande (egg) ka lekin jab imam (khutbadene
ke liye) bahar jata hai to ye farishte apne daftar band kar dete hain
aur khutba sunney mein mashgul ho jate hain.
Sahih Bukhari, Vol 2, #929
✦ 6. Salman farsi radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah
Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne jumaa ke din gusal kiya aur
khub paki hasil ki aur Tel (oil) ya khushbu istemal ki phir jumaa ke
liye chala aur Do aadmiyon ke beech mein na ghusa (Yani masjid mein
baithe logo ko falagta hua na gaya) aur jitni uski kismat mein thi namaz
Parhi phir jab Imam bahar aaya aur khutba shuru kiya to khamosh ho
gaya,uskey is jumaa se guzrey (past) jumaa tak ke tamam gunaah baksh
diye jayengey.
Sahih Bukhari, Vol 2, 910
✦ 7. Rasool-Allah
Sallallahu Alaihi Wasallam Ne farmaya ye din (jumaa ) Eid ka din hai jo
Allah ne musalmano ko ata farmaya hai, isliye jo jumaaa ke liye aaye to
ghusal kar le aur khushbu mil jaye to laga le aur tum par miswak bhi hai
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1098-Hasan
✦ 8. Abu seed khudri
radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu Alaihi
wasslkam ne farmaya Jo (Musalman) Juma ke din Surah Al-Kahaf ki tilawat
kare to uske liye is juma se agle juma tak ek noor chamakta rahega
Mustadrak Hakim 3392-Sahih
Sahih Al jamee 647
✦ 9. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apney minbar par se
irshaad farmaya Logon ko Namaz jumaa tark karney (chhorh deney) se baaz
rahna chahiye nahi to Allah taala unkey Dilon par Muhar laga dega phir
wo Ghafeeleen mein ho jayengey
Sunan An Nasai, Vol 1, # 1373-Sahih
✦ 10. Abu Huraira Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah
Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Pancho namazein aur (ek) Juma
(dusre) juma tak ka kaffara hai (un gunaho se) jo inke darmiyan ho jate
hain jab tak ki koi kabira gunah na kare
Sahih Muslim, Jild1 , 550
✦ 11. Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Abu Al-Qasim
(Yani Rasool-Allah) Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya juma mein ek
ghadi aisee aati hai ki jo musalman bhi us waqt khada namaz padhe aur
Allah se koi khair maange to Allah usko jarur dega
Sahih Bukhari, Jild 6, 5294
✦ 12. Jabir Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu
alaihi wasallam ne farmaya juma ka din 12 ghante ka hai jisme koi momeen
banda Allah subhanahu se kuch mange to Allah usko jarur ata farmate hai
, tum log usko asar ke baad aakhri waqt mein talash karo
Sunan Nasaii, Vol 1,1392-Sahih
✦ 13. Anas bin malik Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah
Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Juma ke din (dua qubul hone ki) wo
mubarak ghadi ko Asar aur gurub e aaftab (yani magrab ) ke darmiyan
talash karo
Jamia Tirmidhi , Jild 1, 471-Sahih
✦ 14. Abdullah
bin amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu
Alaihi wasallam ne farmaya jis musalman ki wafat Juma ke din ya Juma ki
raat ko hoti hai usko Allah subhanhu Qabr ke fitne se mehfooz rakhta hai
Jamia Tirmizi, Vol 1, 1063-Hasan
✦ 15. Abdullah ibn Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah
Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jumaa mein 3 tarah ke log aate
hain, ek to wo jo waha aakar behuda baat kare, uska hissa yahi hai (yani
usko kuch sawab na milega) aur dusra wo hai jo wahan aakar Allah
Subhanahu se Dua kare agar Allah chahega to uski Dua Qubul karega aur
chahega to nahi karega, aur teesra wo hai jo wahan aakar khamoshi se
baith jaye na logon ki gardanein faand kar (over the neck) aagey bade
aur na kisi ko takleef pahuchaye to uska ye amal is jumaa se lekar agli
jumaa tak bulki aur teen deen ziyada tak ke liye gunaahon ka kaffara ban
jayega, kyunki Allah subhanahu ka irshaad hai ki jo shaksh ek neki
karta hai usko 10 gunaa sawab milega
Sunan Abu Dawud, Vol 1 ,1101-Hasan
✦ 16. Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek shaksh
aaya jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam juma ka khutba de rahe
they , Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pucha eh falah kya tumne namaz
padhi usne kaha nahi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya utho
aur 2 rakaat namaz ada karo
Sahih Bukhari, Vol 1, 930
✦ 17.
Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah
Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab koi jumaa ke din aaye aur
imam khutba ke liye bahar aa gaya ho to bhi 2 rakaat padh le.
Sahih Muslim, Vol 2, 2022
✦ 18. Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Sulaik
Ghatafani Radi Allahu Anhu jumaa ke din masjid mein aaye tab
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam minbar par tashreef farma they
Sulaik Ghatafani Radi Allahu Anhu baith gaye aur namaz napadhi to Aap
Sallallahu Alaihi Wasallam ne daryaft kiya , kya tumne 2 rakat namaz
padhi to unhone kaha nahi phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne
farmaya utho aur 2 rakaat namaz ada karo aur mukhtasar padho phir Aap
Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum mein se koi shakhs juma ke
din aaye aur imam khutba de raha ho to (bhi) usko 2 rakat (namaz)
padhna chahiye aur usko mukhtasar kar dena chahiye
Sahih Muslim, Vol 2, 2024
✦ 19. Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasool-Allah
Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab tum mein se koi Juma ki (farz)
Namaz parh chukey to usey chahiye ki uskey baad Chaar rakaat Namaz Ada
karey
Sunan Nasaii Vol1, 1429-Sahih
✦ 20. Tariq ibn Shihab
Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi
wasallam ne farmaya Jumaa ki namaz jamaat ke saath har musalman par
wajib hai siwaye chaar ke , ek to ghulam par , dusra aurat par, teesra
bachche par aur chotha beemar par ( juma ki namaz wajib nahi)
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1055-Sahih