BISMILLAH
EID KE MASAIL
EIDGAAH JANE SE QABL GHUSL
KARNA
Nafi' Rahimahullah farmate hain:
Abdullah bin 'Umar RadhiAllahu Anhuma Eid al-
Fitr ke din Eidgaah jane se pehle ghusl kiya karte
thein.
[Muwatta: An-Nidaa' lis-Salat 384]
--------------
EID KE DIN ZEENAT IKHTIYAR
KARNA
Abdullah bin 'Umar RadhiAllahu Anhuma farmate hain:
'Umar RadhiAllahu Anhu ne Bazaar mein dekha, ek mota resham ka kapda bik raha tha, aap usey Allah ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ke paas le kar aaye aur kaha: Ai Allah ke Rasool! yeh kapda khareed lijiye, Eid aur Wufood ki aamad par is se zeenat ikhtiyar kijiye. Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: yeh libaas un logon ke liye hai jin ka aakhirat mein koi hissa nahin hai.
[Bukhari: al-Eidayan 948]
Nafi' Rahimahullah farmate hain:
Ibn 'Umar RadhiAllahu Anhuma Eidayn ke liye apna sab se achha libaas pehna karte thein.
[Bayhaqi fi Sunan: Salat al-Eidayn: 6363]
----------------
. EID KE DIN ROZA
Abu Hurairah RadhiAllahu Anhu farmate hain:
Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne Yaum al-Adha aur Yaum-e-Fitr mein Roza rakhne se manah farmaya hai. [Muslim: As-Siyaam: 1921]
----------------
EIDGAAH NIKALNE SE PEHLE KHANA
Anas bin Malik RadhiAllahu Anhu farmate hain:
Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam Yaum al-Fitr ke din (Namaaz ke liye) Taaq adad Khajoorein khaye beghair nahin nikalte thein.
[Bukhari: Al-Eidayn: 953]
----------------
NAMAAZ KE LIYE EIDGAAH JANA
Abu Sa'id Khudri Radhiallahu Anhu farmate hain:
Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam Eid al-Fitr aur Eid al- Adha ke din Eidgaah jaya karte thein. [Bukhari: Al-Eidayn 956]
------------------
EID AL-FITR KI NAMAAZ MEIN
TAKBEERAT
Ibn Abbas RadhiAllahu Anhuma farmate hain:
Musalmano par Haqq hai ki jab woh Shawwal ka chand dekh lein toh takbeer kehna shuru kar dein yahan tak ki eid se farigh ho jayein. Kyunki khud Allah Ta'ala ne is ka zikr karte huye farmaya: Aur taki tum ginti poori kar lo aur Allah ki di huyi hidayat par Us ki takbeer bayan karo.
[Tafseer at-Tabari: Fee Tafseer Ayah al-Baqarah 185 Raqam 2380]
----------------
NAMAAZ KE LIYE TAKBEER KEHTE
HUYE JANA
Zuhri Rahimahullah farmate hain:
Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam Eid al-Fitr ke din Eidgaah nikalte toh Takbeer kehte huye jate hatta ki Eidgaah pahunchh jate aur Namaaz padh lete jab Namaaz se farigh ho jate toh Takbeer kehna band kar dete.
(Ibn Abee Shaybah) [As-Saheehah Raqam 171]
Shaykh al-Albani kehte hain is ki sanad agar Mursal na hoti toh is ka darjah Saheeh ka hota albatta isey ek mausool shahid se taqwat milti hai jise Bayhaqi ne riwayat kiya hai.
---------------
EIDGAAH PAHUNCHNE TAK
TAKBEER KEHNA
Ibn 'Umar RadhiAllahu Anhuma se riwayat hai:
Aap RadhiAllahu Anhuma Eid ke din Eidgaah jane aur Imaam ke aane tak baland aawaz se Takbeer kehte. [Ibn Abee Shaybah: As-Salwat 5609]
---------------
AURATEIN TAKBEER KEHNA
Umm 'Attiyah RadhiAllahu Anha farmati hai:
Humein Eid ke din Eidgaah jane ka hukum diya jata, hum apne saath Pardahposh Kunwariyan aur Ha'izah Khawateen ko bhi le lete aur mardon ke pichhe rehte aur unki Takbeer ke saath Takbeer kehte aur unki Duaa'on mein sharik hote aur us din ki barkat aur pakeezgi hasil karne ki ummid rakhte.
[Bukhari: al-Eidayn 971- Muslim: Salat al-Eidayn 1474 mein isi tarah hai]
----------
AURATEIN HATTA KI HA'IZAH BHI
EIDGAAH MEIN
Umm 'Atiyyah RadhiAllahu anha farmati hai:
Humein Eidayn ke din Eidgaah jane aur humare saath Ha'izah aur Pardewaliyon ko nikalne ka hukum diya jata. Yeh Khawateen Musalmano ki Jama'at aur unki Duaa'on mein sharik hoteen, albatta Ha'izah Musalla se door rehteen, (is hukum par) ek Aurat ne kaha: Ai Allah ke Rasool! Hum mein se kisi ke paas Jilbaab nahin hota. Aap ne farmaya: Us ki saheli usey apne Jilbaab mein se udhaye. [Bukhari: As-Salat 351]
---------------
AURATEIN KHUSBOO LAGAKAR NA
NIKLEIN
Allah ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya:
Allah ki bandiyon ko Masjidon se na roko, albatta woh Khusboo lag kar na nikle.
(Musnad Ahmad, Abu Dawud) Rawi Abu Hurairah [Saheeh al-Jami' 7457] (Saheeh)
Allah ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya:
Jo koi Aurat is tarah Khusboo lagye ke jab logon ke saamne se guzre toh log us ki khusboo mahsoos karein, woh zaniyah hai. (Musnad Ahmad, Nasa'i, Haakim) Rawi Abu Musa [Saheeh al-Jami' 2701] (Hasan)
-------------------
KHAWATEEN RASTE MEIN KAISE
CHALEIN ?
Aaseed al-Ansari RadhiAllahu Anhu farmate hain:
Maine Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam ko farmate huye suna, jab Aap Masjid se bahar nikal rahe thein aur raste mein Auratein aur Mard ek doosre mein mukhtalat ho rahe the. Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne Auratonj se farmaya: zara theher jao, tumhara beech raste mein chalna durust nahin balki raste ke kinare se chalo. Us ke baad Auraton ka haal yeh tha ke woh deewaron se lag kar chalne lageen yahan tak ki baaz ka kapda deewar mein (kisi cheez se) ulajh jata.
(Abu Dawud) [As-Saheehah 856, Saheeh al-Jami' 929] (Hasan)
-------------
EIDGAAH MEIN BACHCHE
Ibn Abbas RadhiAllahu Anhuma farmate hain:
Maine Nabi Sallallahu Alayhi Wa-sallam ke saath Eid al-Fitr ya Eid al-Azha ko nikla. Aap ne Namaaz padhi aur Khutbah diya phir Auraton ke paas gaye aur unhein waaz wa nasheehat ki aur unhein Sadqa ka hukum diya. [Bukahri: al-Eidayn 975]
[Note: Allah ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ke daur mein Ibn Abbas RadhiAllahu Anhuma khud Bachche thein (Izafa)]
----------------
PAIDAL EIDGAAH KI TARAF
Ali bin Abi Talib RadhiAllahu Anhu farmate hain:
Sunnat yeh hai ki Eidgaah Paidal jaye.
(Tirmizi) [Irwa' Jild 3 Safa 103 Raqam 636] (Hasan)
-----------------
AANE AUR JANE KA RASTA BADALNA
Jabir bin Abdullah RadhiAllahu Anhu farmate hain:
Nabi Sallallahu Alayhi Wa-sallam Eid ke din ek raste se jate aur doosre se aate.
[Bukhari: al-Eidayn 986]
---------------
EID KI NAMAAZ KA WAQT
Yazid bin Khumair Ar-Rahabi Rahimahullah farmate hain:
Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam ke Sahabi Abdullah bin Busr RadhiAllahu Anhu ek din logon ke saath Eid al-Fitr ya Eid al-Adha ke din Eidgaah ki taraf nikle toh Imaam ki ta'kheer se aap barhum huye aur farmaya: "Is waqt tak toh hum Namaaz se farigh ho jaya karte thein."- yeh Salat al-Duha ka waqt tha. (Abu Dawud, Ibn Majah) [Irwa' al-Ghaleel Jild 3 Safa 101 Tahat Raqam 632] (Saheeh
---------------
IMAAM SE PEHLE NAMAAZ PADHNA
Ibn Abbas RadhiAllahu Anhuma farmate hain:
Nabi Sallallahu Alayhi Wa-sallam Eid al-Fitr ko nikle aur 2 Raka'at Namaaz padhi. Aap ne Eid ki Namaaz se pehle aur us ke baad koi Namaaz nahin padhi, aur Aap ke saath Bilal RadhiAllahu Anhu thein.
[Bukhari: al-Eidayn 989- Muslim: Salat al-Eidayn 1476] Ibn 'Umar RadhiAllahu Anhuma se riwayat hai:
Aap RadhiAllahu Anhuma Eid ke din nikle aur Eid ki Namaaz se pehle aur baad mein koi Namaaz nahin padhi aur farmaya ki Nabi Sallallahu Alayhi Wa-sallam ka yehi amal tha. (Tirmizi) [Sunan at-Tirmizi biTahqeeq al-Albani 538] [Irwa' Jild 3 Safa 99 Raqam 631] (Hasan Saheeh)
'labah bin Zahdam Rahimahullah farmate hain:
Ali RadhiAllahu Anhu ne Abu Mas'ood RadhiAllahu Anhu ko logon ki Imaamat ke liye apna na'ib banaya. Aap RadhiAllahu Anhu Eid ke din nikle aur farmaya: Ai Logon! Imaam ke aane se qabl (Nafl) Namaaz padhna Sunnat nahin hai. (Nasa'i) (Sunan an-Nasa'i biTahqeeq al-Albani 1561] (Saheeh ul-Isnaad)
-------------
EIDAYN KI NAMAAZ MEIN AZAN AUR
IQAMAT
Ibn Abbas aur Jabir bin Abdullah RadhiAllahu Anhuma farmate hain:
(Allah ke Nabi Sallallahu Alayhi Wa-sallam ke zamane mein) Eid al-Fitr aur Eid al-Adha ki Namaaz ke liye Azan nahin di jati thi. [Bukhari: al-Eidayn 960]
Jabir bin Samurah RadhiAllahu Anhu farmate hain:
Maine ek do baar nahin kayi martaba Allah ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ke saath beghair Azan wa Iqamat Eid ki Namaaz padhi hai.
[Muslim: Salat al-Eidayn 1470]
-----------------
EIDAYN KI NAMAAZEIN 2 RAKA'AT
'Umar RadhiAllahu Anhu farmate hain:
Safar ki, Jumu'ah ki, Fitr aur al-Adha ki Namaaz 2 Raka'at hai jo Allah ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ki zubaani mukammal hai qasr nahin hai.
(Musnad Ahmad, Ibn Majah) [Saheeh Ibn Majah 872]
-----------------
EIDAYN MEIN ADAD E TAKBEERAT
Aaishah RadhiAllahu Anha farmati hain:
Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam Eid al-Fitr aur Eid al- Adha ki Namaaz mein pehli raka'at mein 7 aur soosri mein 5 zay'ed Takbeer kehte thein.
(Abu Dawud) [Saheeh Abee Dawud 1018] (Saheeh)
---------------
HAR RAKA'AT MEIN ZAYED
TAKBEERAT QIRA'AT SE PEHLE
Nafi’ Rahimahullah farmate hain:
Maine Abu Hurairah RadhiAllahu Anhu ke saath Eid Al-Adha aur Eid al-Fitr ki Namaaz padhi, Aapne pehli raka'at mein qira'at se pehle 7 aur doosri mein qira'at se pehle 5 Takbeerein kaheen. [Al-Muwatta: An-Nida' lis-Salat : Baab Ma Ja' fi at-Takbeer wal- Qira'at fi Salat ad-Eidayn]
Abbas RadhiAllahu Anhuma se riwayat hai:
Aap Eid ki Namaaz mein pehli raka'at mein Takbeer-e-Tahreema ke saath 7 Takbeerein aur doosri raka'at mein Qiyam ki Takbeer ke saath 6 Takbeerein kaheen, yeh tamam Takbeerein Aapne qira'at se pehle kaheen.
(Ibn Abee Shaybah) [Irwa' Jild 3 Safa 111 Tahat Raqam 639] (Saheeh)
-------------------
HAR 2 TAKBEER KE DARMIYAN KYA
KAHEIN?
Abdullah nin Mas'ood RadhiAllahu Anhu Eid ki Namaaz ke mutalliq farmate hain:
Har 2 Takbeer ke darmiyan Allah ki Hamd wa Sana' bayan ki jaye. (Al-Mahaamilee fi "Salat al-Eidayn" Bayhaqi fi Sunan) [Irwa' Jild 3 Safa 115]
------------------
EID KI NAMAAZ KI QAZA'
Abu Umair bin Anas bin Malik Ansaari apni ansaariya phoophi Radhi Allahu Anha se riwayat karte hain:
Kuch logon ne chand dekha toh Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ke paas pahunche aur Aap ko is ki khabar di, dopahar ka waqt ho chuka tha, Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ne logon ko iftar karne aur dusre din Eidgaah aane ka hukum diya.
(Nasa'i) [Sunan An Nasa'i BiTahqeeq Al-AlBani 1557] (Saheeh)
Abu Umair bin Anas bin Malik Ansaari farmate hai:
Meri Ansariya phoophi Radhi Allahu Anha ne mujse hadees bayaan ki: logon ne kaha: Humein Eid ka chand nazar nahi aaya so hum roze se the, din ke aakhri peher ek wafd aaya aur Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ke paas gawahi di ke unhone kal chand dekha tha, is par Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne logon ko iftar karne aur dusre din Eidgaah aane ka hukum diya.
(Ibn Majah) [Saheeh Sunan Ibn Majah 1340] (Saheeh
----------------
KISI KI EID KI NAMAAZ CHHOOT JAYE.
Imam Bukhari Rahimahullah farmate hain:
BAAB AGAR KISI KI EID KI NAMAZ CHHOOT JAYE TOH WOH DO RAKA'AT PADH LEY.
Isi tarah auratein bhi kare aur wo log bhi jo gharon aur dehaton mein ho, is liye ke Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmaya: yeh humari Ahle Islam ki Eid hai. Aur Anas bin Malik ne apne gulam Ibne Abee Utba ko bhi isi tarah karne ka hukum diya tha, lihaza unhune apne biwi
bachcho ko jama kiya aur shehar walon ki tarah Namaaz padhi aur takbeer kaheen. Aur Ikrima farmate hai: shaher ke aas paas wale bhi jis tarah Imaam karta hai usi tarah kare. Aur 'Ata farmate hai: agar kisi ki Eid ki Namaaz faut ho jaye toh woh do rakt padh ley. (Bukhari ne isey Taliqan "Al-Eidayn" mein zikr kiya hai)
--------------
EID KE DIN AGAR APNE BHAI SE
MULAQAAT HO TOH KYA KAHE?
Ibn Hajar Rahimahullah farmate hai: Aur humne "Mahaamileeyat" mein Jubair bin Nafeer Rahimahullah se Hasan sanad ke saath riwayat naqal ki jis mein hai:
Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam ke Sahaba jab Eid ke din ek dusre se milte toh kehte "Taqabballahu Minna Wa Mink” (Allah hum se aur aap se qubool farmayein) [Fath Al-Bari: Al Eidayn: Baab Sunnatal Eid Li-Ahlil Islam]
Ek riwayth mein hai :
"Taqabballahu Minna Wa Minkum"
(Allah hum se aur aap sab se qubool farmayein)
[Is Hadees ko Abul Qasim al-Asbahanee ne apni Kitaab "At-Targheeb wat-Tarheeb" mein riwayat kiya hai.] [Tamam al-Minnah, Safa 355]