Surah Al-Anfal

Daily Hadeeth
Bismillahirrahmanirrahim

Surah Al-Anfal

Jaan lo kay tum jiss qisam ki aur jo kuch ghanimat hasil kero uss mein say panchwa hissa Allah ka hai aur rasool ka aur qarabat daron ka aur yateemon ka aur miskeenon ka aur musafiron ka agar tum Allah per eman laye ho aur uss cheez per jo hum ney apney banday per uss din utara hai jo din haq-o-baatil ki judaee ka tha jiss din do fojen bhirr gaee thin. Allah her cheez per qadir hai.
08.42 Jabkay tumharay pass walay kinaray per thay aur woh door walay kinaray per thay aur qafila tum say neechay tha. Agar tum aapas mein waday kertay to yaqeenan tum waqt moyyen per phonchney mein mukhtalif hojatay. Lekin Allah ko to aik kaam ker hi daalna tha jo muqarrar ho chuka tha takay jo halak ho zaleel per (yani yaqeen jaan ker) halak ho aur zinda rahey woh bhi daleel per (haq pehchan ker) zinda rahey. Be-shak Allah boht sunnay wala khoob jannay wala hai.

08.43 Jabkay Allah Taalaa ney tujhay teray khuwab mein unn ki taadaad kum dikhaee agar inn ki ziyadti dikhata to tum buzdil hojatay aur iss kaam kay baray mein aapas mein ikhtilaaf kertay lekin Allah Taalaa ney bacha liya woh dilon kay bhedon say khoob aagah hai.

08.44 Jabkay uss ney ba-waqt-e-mulaqat unhen tumhari nighaon mein boht kum dikhaye aur tumhen unn ki nighaon mein kum dikhaye takay Allah Taalaa iss kaam ko anajm tak phoncha dey jo kerna hi tha aur sab kaam Allah hi ki taraf pheray jatay hain.

"