✦ Abdullah bin Amr Radi Allahu
Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo
sharab peeye aur nashe mein mast ho jaye to uski namaz challis (40) roz tak
Qubul nahi hogi, aur agar wo us dauran mar gaya to dozakh mein jayega agar usne
tauba kar li to Allah qubul farmayega.
✦ Aur phir dobara sharab peeye
aur nashe mein mast ho jaye to uski namaz challis (40) roz tak Qubul nahi hogi,
aur agar wo us dauran mar gaya to dozakh mein jayega agar usne tauba kar li to
Allah qubul farmayega.
✦ Phir agar usne teesri baar
phir sharab pee li to Allah subhanahu usko Qayamat ke din Radgat-AlKhabal jarur
peelayenge Sahaba Radi Allahu Anhu ne arz kiya ki eh Allah ke Rasool-Allah
Sal-Allahu Alaihi wasallam Radgat Al
Khabal kya cheez hai, farmaya dozakhiyo ka khoon aur peep.
Sunan ibn Maja, Jild 3, 258-Sahih