Har wo Shakhsjo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai un par dozakh ki aag haram hai

Daily Hadeeth
Bismillahirrahmanirrahim

 ‼Har wo Shakhsjo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai un par dozakh ki aag haram hai

★Al Quran : Logon se apna rukh na pher aur Zameen par itra kar na chal beshak ALLAH kisi Takabbaur karne wale, itrane waleko pasand nahi karta

📗Surah Luqman, (31), # 18

★Hadith:Abdullah bin Masud radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne faramyaKya main tumko aise logon ke mutalliq na batauu jin par Dozakhki aag haram hain aur wo aag par haram hain, har wo Shakhsjo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai(un sab par dozakh ki aag haram hai)

📗Reference:Jamia Tirmizi,Jild 2,377-Hasan




"