Farz Namaz Pahle Ya Sunnat Namaz❓

Daily Hadeeth
 Farz Namaz Pahle Ya Sunnat Namaz❓

Hamhare Maashre Dekha Jata Hai Fazar Ki Farz Namaz Khadi Hone Ke Baujud Sunnat Ke Liye Khade Hojate Hai Aaiye Dekhte Hai ye Kahan Tak Sahih Hai


✨ Hazrat Abu Hurairah (Razi Allah Anhu) Riwayat karte hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya. Jab Farz Namaz ki takbeer ho to koi Namaz na padhni chahiye Siwaye Farz Namaz ke.

📚(Sahih Al Muslim Hadees 1644)

✨ Hazrat Abu Hurairah (Razi Allah Anhu) Riwayat karte hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya. Jab Farz Namaz ki Iqamat kahi jaye To Siwaye Farz Namaz ke koi (aur) Namaz Nahi (padho)

📚 (Sahih Al Muslim Hadees 1646)

Note : Ab un bhaiyo ko sochna chahiye jo fazar ki jamaat khade hone ke baad bhi sunnat padhte hai Hamhe Chahiye Ke Hum Waqt Se Pahle Masjid Me Aaye Aur Sunnat Se Farig Ho Agar Kabhi Sunnat Chut To Farz Ke Baad Padhe

Allah Hamhe Quraan Wa Sahih Sunnat Par Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmaye.


#dailyhadeeth




"