πŸŒ•πŸŒ™ *ΓƒDΓƒB E EID* πŸŒ™πŸŒ•

Daily Hadeeth
Assalam Alekum Warehmatullahi Wabarkatahu
πŸŒ•πŸŒ™ *ΓƒDΓƒB E EID* πŸŒ™πŸŒ•
🌺1. Namaz e Eid ke liye nikalne se pehle ghusl kerna chahiye aur umda libas pehen kar aur khushbu laga kar ghar se nikalna chahiye.
🌺2. Ghar se rawangi se qabal taaq adad mein khajoor khana masnoon hai.
🌸 Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Eid ul Fitr Ke din nikalte the to kuch khajooren tanawul farmate aur taaq adad mein tanawul farmate.
πŸ“™ Sahih Bukhari, 953
🌺3. Eidgah ko paidal jaana aur wahan se paidal wapas aana masnoon hai.
🌸 Hazrat Ibn Umar Razi Allahu Anhu aur Hazrat Sa'ad Razi Allahu Anhu bayan krte hain ki Rasoollullah Sallallahu Alaihi Wasallam Eid ke liye paidal jaate aur paidal wapas aate the.
πŸ“™ Ibn Majah, 1294
🌺4. Namaz Eid ke liye ghar walon ko bhi saath le jaana chahiye, hatta ki haiz wali khwateen ke baare mein bhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne yahi hukm diya ki wo ghar se zaroor bahar nikle aur Eidgah se bahar baithe aur musalmano ki dua mein shareek ho.
πŸ“šSahih Bukhari, 974
Sahih Muslim, 890
🌺5. Namaz e Eid, Eidgah mein padhna masnoon hai.
πŸ“š Sahih Bukhari, 956
Sahih Muslim, 889
🌺6. Eidgah ki taraf jaate hue ye takbiraat baar baar padhte rehna chahiye.
Ψ§Ω„Ω„Ω‡ Ψ£ΩƒΨ¨Ψ±، Ψ§Ω„Ω„Ω‡ Ψ§ΩƒΨ¨Ψ±، Ψ§Ω„Ω„Ω‡ Ψ§ΩƒΨ¨Ψ±، Ω„Ψ§ Ψ₯Ω„Ω‡ Ψ₯Ω„Ψ§ Ψ§Ω„Ω„Ω‡ ΩˆΨ§Ω„Ω„Ω‡ Ψ£ΩƒΨ¨Ψ±، Ψ§Ω„Ω„Ω‡ Ψ§ΩƒΨ¨Ψ±، و Ω„Ω„Ω‡ Ψ§Ω„Ψ­Ω…Ψ―
🌸 Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam jab Eid ul Fitr Ke din Eidgah ko jaate to takbiraat padhte hue jaate aur namaz Eid se farigh hone ke baad takbiraat nahi padhte the. Isi tarah Hazrat Umar Razi Allahu Anhu jab ghar se Eidgah ki taraf jaate tou takbiraat padhte huve jaate the.
πŸ“• Silsilatus Sahihya, 171
πŸ“ Aur Eidgah mein pahunch kar jab tak imam namaz e eid ke liye safey seedhi karne ka hukm na de uss waqt tak ye takbiraat ba dastoor padhte rehna chahiye.
🌺7. Namaz Eid se pehle aur uske baad koi nafil namaz nahi hai.
🌸 Hazrat Ibn Abbas Razi Allahu Anhu bayan karte hain ke " Beshak Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Eid ul Fitr Ke mauqe per nikle tou Aap ne 2 rakate padhayi aur namaz e Eid se pehle bhi aur uske baad bhi koi namaz nahi padhi.
πŸ“š Bukhari, 989
Muslim, 884
Allah Ta'ala se dua hai ke Wo hame iss mubarak maah ke roze mukammal karne ki taufeeq de aur unhe sharf qubuliyat se nawaze.
🌹Aameen ya Rabbal Aalameen🌹
Via: Abdul Rehman ibne Masood


https://www.facebook.com/Hadeethsondaily/
"